kya hai ye aaj kab aata hai aaj
kab jaata hai aaj
jaake phir kyun aajaata hai aaj
sab par kyun chhata hai aaj
wo kehte hai wo jeete hai aaj mein
maine kaha, kya paate hain aaj mein
wo kehte hain, khush rehte hain aaj mein
maine poochha kya kisi ko khush rakh paate hain aaj mein
kisi ne kaha aaj kuchh ban ke dikhao
kisi ne bola kuchh kar ke dikhao
kisi ki khwaish thi humare aaj se apna kal sajane ki
kisi ki koshish aaj or kal ke chakkar mein humein khud hi ulajhane ki
lekin hum......hunh!?!
hum kabhi aaj mein jee na paye
kisi ko aaj mein paa bhi na paye
aaj ko kal par taalte chale gaye
zindagi ko yun hi fanaa karte chale gaye
lekin aaj ek nayi umang hai
dil mein ajab si tarang hai
kyun na aaj ke saath apna bhi kal safal bana dein
apni aarzuon ko ek alag nayi disha dein
to sabhi se ye guzarish hai, ye kavita padhne walo
aaj ki kadar kar, khud ko sanwaro
kisi kal ke intezaar mein, meri tarah
hapna jeewan na ujado.....na ujado

No comments:
Post a Comment