yeh kaisi ajab si aaag hai seene mein
yeh kaisi pyaas hai
yeh kaisi talab hai dil mein
kyun kisi ke aane ki aas hai
kyun dil dekhta hai hazaron sapne
kyun nahi bhaamp paata yeh parayon mein se apne
kyun har koi lagta hai dost ki tarha
aur phir kyun man hota hai udaas,
jab wo chala jaata hai ehsaab faramosh ki tarha
kahan gum hai mere chehre ki hansi
kyun hai aankhon mein yeh nami
kahan jeevan ka woh pehle jaisa swaad
kyun har samay karta hoon mein kisi ko yaad
kaun hai yahan mujhe samajhne waala
kaun hai yahan mujhe andar se parakhne wala
kaun hai yahan meri galatiyan sudharne wala
kaun hai yahan mere chitt ki aakankshaon ko rokne wala
aakhir kab koi jaanega mere dil ki baat
aakhir kab koi poochhega mujhse bhi aise hi kuchh sawaal
aakhir kab koi thaamega mera haath
aakhir kab koi le jaayega mujhe in tanhayiyon ke paar

No comments:
Post a Comment